Wednesday, June 11, 2014

Ibteda!


wo mausam laut aaye hain,
wo rang laut aaye hain
hawaon me tazkirein hain,
wo humdum laut aaye hain..

khawaabon ke parinde hain,
aankhon ke aasman hain.
maazi ke samandar se
wo nakhuda laut aaye hain

wo barq se girte the,
sazde teri mushtaaq ke.
wo mussarat ki kaliyan hai
wo abr laut aaye hain

wo chuppi ke qafas the,
wo dam todti kahaniyan..
ek khoyi huyi ghazal ke
wo misre laut aaye hain

wo mausam laut aaye hain,
wo rang laut aaye hain
hawaon me tazkirein hain,
wo humnafas laut aaye hain..

No comments:

Post a Comment